Sunday, October 16, 2011

Kyon...


Kyon uske na hone se dil abhi bhi rota hai
Kyon uski aawaz sun ne ko dil abhi bhi tarasta hai...

Kyon uski baato ko abhi bhi yaad karti hu
Kyon usko khone se abhi bhi darti hu...

Kyon uske naam se dil abhi bhi dhadakta hai
Kyon uski aahat ke liye dil abhi bhi tapadta hai...

Kyon uske paas hone ka abhi abhi ehsaas hai
Kyon uske na hone se dil abhi bhi udaas hai...

Kyon uska intezar abhi bhi karti hu
Kyon usse pyar main abhi bhi karti hu...

Wednesday, October 12, 2011

Agar bhulana aasan hota....

Zindagi aise bhi rang dikhati hai kabhi sapne mein bhi na socha tha
Ek naye mod ki bajaye ussi mod par le jati hai aisa bhi kabhi na socha tha...

Har pal, har lamha, har raat, har cheez ab bewajah si lagti hai
Jiske peeche kabhi wajah sirf ek thi...

Dil aur khillone mein agar log farak samajh paate
Toh Aaj shayad na toh kabhi koi dil bikta na toot ta...

Woh chala gaya iska kabhi gham na hua...
Woh gaya kuch yun kehkar jisko kehna bhi kabhi gunah tha...

Yaadon mein uski ek ajeeb si kashish hai
Jo Har waqt mujhe usse yaad karne par majboor karti hai...

Aaj shayad koi rishta hi nahi hota
Agar kisi ko bhulana itna aasan hota...



Ab paana hi nahi chahti...

Khud ko khoya hai itni baar
Ki ab pana hi nahi chahti...

Duaon ne jaise kaam karna band kar diya hai
Ummedo Ke pul abhi bhi bandhe baithi hu...

Sab Kehte hai raah par chalte chalte manzil hi kho gai
Meri toh raah hi galat thi...

Jisne Mujhe Pyar kiya uske pyar ki kabhi kadr nahi ki
Shayad aaj issi ki saza mil rahi hai...

Andheri jagah par roshni ki talash hai
Khud Ko jalaakar bhi mile toh woh bhi manzoor...